Jo log hajj pe jaate hai

Woh log Makkah Sharif mei qurbani karate hai aur kuch log yaha pe bhi qurbani karate hai aisa karna kaisa?

Hazrat jo haj ke liye Makkah sharif gaya hai
Wo waha ek qurbaani karata hai hudude Haram mein

Kafi log apne naam se ek qurbaani India mein bhi karate hai

10 zil haj ko

Jawab:

Haji Agar Musafir hai to us par Eid ul Ad’ha wali qurbani wajib nahi.

Agar Kara de to koi harj nahi sawab paayega.

Ye qurbani wo kisi bhi jagah karwa sakta hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love