Roze ki halat mein gul ya manjan

Se roze ka hukm kya hoga qaza ya kaffara?

Jawab:

Gul Manjan ko Agar Is Haisiyat se kare ke Maqsad Daanto ki Mahez safaai ho Us ki Lazzat Maqsood na ho, to Roza makrooh hoga.

Jab ke Koi zarra halaq ke neeche na utre, Baher Haal Bachna Chahiye.

Aur Agar Nashe ke taur par Lazzat ke liye istemaal karein aur muh mein rakhe rahein to Us ke bareek zarrat zarur halaq ke neeche utrenge aur roza toot jaayega Aur Agar Raat hi Roze ki niyyat kar li ho to kaffara bhi lazim.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love