Zaid Kehta hai Ke kufr Aur Kafir Alag Cheez hai

Banda Kufr Bakne ke Baad bhi Kaafir Nahi hota.

Jab Tak Ke Ulama Uss Par Hukm-e Kufr Na Lagaayein Aur Use Samjhaane Ke Bawajood Bhi Woh apne kufr par Raha Tab hi Kaafir hoga.

Usse pehle Woh Kafir Na Rahega Aur Zaid Kehta hai Ke Kufr Bakne se Nikaah Nahi Toot’ta

Sirf Nikah Kharaab hota hai Aur Biwi apne shohar ke Nikah hi mein rehti hai.

Zaid Ka aisa Kehna kaisa?

Jawab:

Agar waaqai kisi ne bila ikraah e sharai kalima e kufr baka to wo usi waqt kafir ho jaayega. Aur Biwi uske Nikah se nikal jaayegi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love